Asked by
megha_bhandari
in
Agony Aunt
at
1:45 PM on August 02, 2009
Shyam M's Answer
Haath milane ki pratha Bharatiya pratha nahi hai, ye European pratha hai jo ki madhya yug meing shuru hui. Iska janam avishvas par adharit hai. Jab bhi do log milte the ve apna khali panja ek doosre ko apna nihaththa hone ke praman swaroop dikhate the. Ye prathat age chal kar adhunik yug mein milne ki prathaa ban gayee. Bhartiya sanskriti ke prabhav kshetra mein haath jod kar milne ki prathaa hai, jo ki haath milane ki pratha se kahin vashisht hai. Haath milane ki sab se badi kami sankraman felane ki hai.
Bharat ek mukt samaj hai, aap per milene ki prathaa shuru kar dijiye, koi aap ko rokegaa nahi! han Bharat ke bahar aap ko ye zarur sidhh karna pad sakta hai ki aap par koi fatwa lagu ho ke nahi, aap ne kisi pegambar ka asamman to nahi kiya, ya ki phir aap ne kahin Church ke updeshon ya bhavanon ko thes to nahi pahuchai aisa kar ke !! :)
Answered at
6:02 PM on August 04, 2009
Read all answers