Umr ka bahut mahatva hota hai garbh dharan me . Jitni jyada umr hogi santan utpatti ki sambhawna utni kam hogi. Masik ke 12 se 14 din par stree garbh dharan ke liye jyada upyukta hoti hai . Sambhog ke darmyan kisi bhi prakar ka tension na lein . Ye na sochein ki "Main bachche ke liye aisa kar raha.rahi hu'. Aisi awastha me aapka dhyan anyatra bhatak jayega aur aap sahwas ka bharpoor anand nahi le sakte/sakti..
Regular aur jo paramparik aasan hain unka upayog karein Tarah tarah se sex karne se jo sakriyta utpanna hoti hai usme garbh dharan sambhav nahi.
Bhor ka samay (early in the morning) aur dopahar (Afternoon) ka samay jyada upyukta hota hai.
Kalke se prayas se stree-purush ek saath charam sukh paa sakte hain jo conceive karne ka sabse behtar tareeka hai . Is ke baad bhi kisi prakar ki jaldbaji na dikhayein aur toilet ki taraf tatkal rukh na karein . Is ke sthan par itminan se leti rahein aur sambhav ho to neend lein.
Answered by
Vijay Kayal
at
2:42 PM on September 10, 2011