Meri samajh mein vedic kal se ab tak mahilaon ki stithi mein sudhar hi hua hai. Jab nari ko vanvaas bhugatna padta tha, jab stree juye mein daon par lagti thi, jab sabhya samaj mein nari ko nagn dikha kar uska makhaul udaya jata tha, jab ek pativrata ko agni pareeksha deno noti thee, uski apeksha aaj ki nari ki awastha bahut theek hai.
Aaj nari ke pas saman adhikar hai, wo purush ke saath kandhe se kandha mila kar chal sakti hai. Aaj wo desh, rajya aur sansar par rajya kar sakti hai, ise bura to hargiz nahi kaha ja sakta.
Vedic kal mein lautna sambhav ho sake to aaj ke nazariye se samajik, aur mansik dono ka behtar vikas ho sakega.
Answered by
Vijay Kayal
at
12:58 PM on December 21, 2008