aap apni wife ko kisi kaam ke liye roke nahi or na hi unke kaam main disturbance paida kare, unki salah ko sabhi log maane or unke saath pareshaani kya hai ye jaanne ki koshish kare, mujhe lagta hai unka kahna ya unki baat koi nahi maanta hai or unko koi importance koi nahi deta hai, ye bhi ek karan ban sakta hai. isliye, kuch apni wife ko bhi importance de chahe jhootha hi sahi , do baat pyaar se kare, unki pareshaani jaane or solve karne ki koshish kare.
unks suicide karne ka kya kara ho sakta hai ye aapne clear nahi kiya. bachcho ko maa ke paas rakhe or unka kahna maanne ke liye kahe. kuch din aise hi chalne de.
woh bahut pareshaan hai socho bechaari agar woh nahi rahi to kya hoga. ye to aapki responsibility hai na, unki dekhbhaal karne ki. to phir jo aapka role hai as a husband woh to aapko hi karna hi hoga na.
Answered by
Atul
, an ibibo Specialist,
at
10:12 AM on October 29, 2009